Youtube Videos ko Monetize Aur Adsense Se kaise Jhudhe


Youtube Videos ko Monetize Aur Adsense Se kaise Jhudhe

Youtube Se online Paise kamai karna Bahut Acha Aur Asan tarika hai. bahut Se Loug Youtube Se har mahina lakhou Rupiya kama bhi rahe hai.Kuch Logou ke Income Crore Se Bhi jyada ho Raha Hai.Youtube Ke Jariye kamana Koi Mushkil kaam Tho Nahi Hai Kuch Roles Ko Follow karke App Bhi Youtube Se Kama Sakte hai.Iske Liye Apko Bas Apke Gmail Id Se youtube Par Sign In Karna hai Aur Videos Create karke bas youtube Par Upload karke Publish Karna hai.
Aur Apne Upload Kiye huwe Videos ko Monetize Karna hai.(Yaad Rahe Monetize karne Se He Apke Videos Se Earning Shuru Hoga) Ab Videos ko Monetize karne Ke Liye Adsense Se Connect Karna Hoga.

Youtube Se paise Kaise kamaye iski Jankari Ke LiyeYe Post Padhe Earn From Youtube/Youtube Se Paise kaise Kamaye.Yaha Apko Iski Puri jankari Mil Jayega.Is post par Apko Youtube Se Jhodhe har Sawal Ka Jawab Mil jayega.

Tho Chaliye Dostou Ab Hum Jante hai Youtube Videos ko Monetize kaise karte hai Aur Monetize Ke jariye Youtube Se kaise Paise kamate hai. Me Is Topic ko Step By Step Likh raha Hoo Thaki App Logou Ko Samajne me Koi Pareshani Na Ho.


Agar Apke Pass Gmail ka Account hai tho Aap Apki Wohi Gmail Id Se Youtube par Sign In Kar Sakte Ho.
Aur Agar Apke pass Gmail Account nahi tho Gmail Account kaise Banate Hai Is link par is Bare me Padh Sakte ho. Youtube Sign In Karne ke baad Kam Se Kam 10 Video Upload Kare. Ab Apko Un Videos ko Monetize karna hai Aur Adsense Se Jhudhna hai.

Youtube Par Videos ko Monetize kaise kare Aur Adsense Se kaise Jhudhe..?

Tho Chaliye Ab Apne 8/10 Videos Upload bhi Karliya Hai. Ab Kaam baki Baki Rehgaya kamai kaise Hoga. Iske Liye Apko Ye kaam Karna Hoga.


  • Connect Your Channel With Adsense
  • Enable Your Channel For Monetization

Youtube.Com par jaye aur top side par apne photo icon par click kare.


  • Top Sidebar Me right side me apne Account Icon Par click kare .
  • Account icon ke baad Creator Studio Par Click kare.
  • Left Side Me Channel par Click kare
  • Channel ke Baad Status And Futures Par Click kare.
  • Monetization,Enable Par Click kare(Ye Option Sirf Bina Monetization Walou Ko He Dikhayi Dega.)

Video Manager Par Click Kare Woha Click Karte he Ek New Window Open Hogi Jisme Apke Videos Ki List Hogi Par Isme Video Monetise Ka Green Nishan Nahi Hoga. Is Screen Shot Me Dekh Sakte Ho Yaha Par Green Color wala Wo Dollar Ka Icon Nahi Dikha raha Hai.
Next Step::-
  • Ab App Left Sidebar Me Account Ke Channel Option par Click kare
  • Monetization Par Click Kare
  • Enable Monetization Par Click kare

Next Step::-
Ab Ek Nayi Popup Window Open Hoga.Is Window Me Youtube ke Policy Ke Bare me bataya jayega.
Is policy ko Achi tarh padhkar Sabhi terms And Condiotion ko Samje Uske baad he tick mark par click karke  I Accept par Click kare.
Ab Phirse Ek Nayi Window Open Hogi Uspe Monetize par Click kare fir Go It par Click kare.
Jaise he Ap Go it Button par Click Karenge App Direct Apke Channel Ke Video Manager par pahuch jayenge.
yaha par Apko Dikhayi Dega ke Apke upload Kiye Huwe Har Videos ke Samne Dollar Wala Wo Monetise (Green) Simble Dikhaye Dega.
Iska Matlab Apka Videos Monetize Ho gaya Aur Apka Earning Bhi Chalu ho gaya. 
Ab Ap Jab Bhi Chaho Video Manager par Click Karke Apne Videos ko Selecct Karke Action par Click Karke Monetize Kar Sakte Ho.Par Me tho Ek Baat Bhul gaya Tha Apne Channel ko Adsense Account Se Bina Jhodhe App Monetize Nahi kar Sakte.
Tho Chaliye Jaan lete Hai Ke Apne Channel ko Adsense Se Kaise Jhodhe.
How To Connect Your Youtube Account With Your Adsense Account.
Youtube Channel Ko Adsense Se Jhodhne Ke Liye Apke Pass pehle Se He Youtube Account Hona Jaroori hai.?
Agar Apke Pass Adsense Account nahi Hai Aur App Youtube Se Apply karna Chaho Tho Adsense tho ban jayega par ye Hosted Hoga.
Jiska Ads Sirf Youtube Par Show hoga baki Website ya Blog par Ads Show Nahi Hoga.

How To Connect your Youtube Channel With Adsense Account
Youtube Channel Ko Adsense Se kaise Jhodhe

Agar Apke Pass pehle Se he Approved Adsense Account hai Tho Achi Baat hai.Aur Agar Apke pass Adsense Account nahi Hai aur app adsense account bana na chahte ho tho iske liye apke pass website ya blog hona chahiye. Usse app direct adsense apply karke website,blog aur youtube par bhi use kar sakte ho. Is bare me janne Ke Liye App hamari is post 

First Step::--
Ap Apne Account Me Channel Selection Par jaye.
Monetization Ke Samne View Monetization par Click kare.
Step 2::-
1. How Will I Be Paid Par Click kare 
2.Phir Associate An Adsense Account Par Click kare.
3.Ab Next Button par Click kare.
Step 3::- 
Ab Ek New Windo Khulega Usme Sign In Par Click kare.
1.Apni Bhasha (Language) Select kare.
2.Continuee Button par Click kare.
Ap Apko Adsense Account ka Ek information Page Dikhayi Dega. Jisme Apko Adsense ke bare me Pucha jayega.
Isme Apko Sabhi jankari Fill Up karna hai. Yaad rahe Sari jankari Sahi Dena Hoga. kyouki Apki Di Huyi jankari Par Verification ke taur Par Apke Veify code Bheja Jayega Us Code ko Enter Karne ke baad He Apki id Verify hogi.Is post ke jariye Adsense Company Apki Adress verify karega.Yehi Adress verify Hone ke Baad He Apka Payment Use Adress Ke Mutabic Milega.

Agar Aap Adsense Pin Ke bare me Aur Bhi jankari hasil karna Chahte Ho tho Yaha Adsense par Address pin Verify kaise karte hai us Post ko Padhe.

4th Step::--
Ab Ek Window par Adsense Sign Up From Khulega Isme Apko Sari jankari Sahi Sahi Fill Up Karna Hoga.
1. yaha Par Ap Apna Country Select kare.
2.Apne Country Ke TIme Zone Bhi Select kare.
3.Apne Kaam Ka option Select kare.Agar Ap Sirf Apne Liye Adsense Account Banana Chahte Ho tho individual Select Kare. Aur Agar App Bussiness karna Chahte ho thoBussiness Select kare.
4. Agar Apne Woha Bussiness Select kiya Ho tho Yaha par company Select karna hoga. Company Name ) Fill Up karna hoga.
5. Apna Postel Adress yaha par Fill Up kare.
6.City Name Enter kare.
7.Apna Khudka State Kiya hai Wo Select kare. jaise Mera hai :: Assam
8.Yaha App Apna Postal PIn Code Enter kare. Jaise Mera hai 782445( Agar Apko Apna Postel pin pata nahi Hai tho App Apne Post Office par jakar pata kar Sakte Ho).
9.Yaha par Apko Apna Pura Naam Fill Up karna hai.Jo Apke Bank Account Me hai.
10.Apna Permanent Mobile Number enter kare. Kyouki is No Par Apko Verify Code Bhejenge Jisko Bhi Bhi Enter karna hoga.Enter karke Verify karna Hoga.
11.Ap Apna Adsense kis Liye bana Rahe Ho Wo Slect Kare.
12.Yaha Par sabhi Jagah Par tick karde.
13. Ab Ek baar Sari jankari ko Phirse Check karle Taki koi Galti ho gayi ho tho use Thik Kar Sake. Sab Kuch Check karne ke baad Submit Button par Click kare.
ab jaise he Submit My Application par Click karenge Tho Kuch Second me Ap Wapas Apna Youtube Channel par pahuch jayenge.Aur Apke Samne Ek New Window Khulega.
Yaha par Apko Ek Msg Dikhayi Dega Jisme Likha Huwa Hoga{ Your Adsense Application has Been Submitted And Is Being Reviewed. You Will Recve An Email Egarding The Status Of Your Application Within About A Week} Iska matlab Apka Adsense Account Application Submit ho gaya hai.Ab Google Apke Account ka review Karega Aur Review Complate Hone Ke Baad Apka Adsense Account Approved Hoga Ya Nahi Iske bare Me Email Address Par Email ke jariye bataya jayega.
Ye Confirmation Email Lag bhag 7 Din Me Ajata Hai.

Congartulation Ab Apka Youtube Account Adsense Se Jhodh gaya hai.
Ab Apki Upload Kiye Monetized Videos Par Ads Show Honi Shuro ho jayega Aur jab Bhi Koi Apki Video Dekhega Us par Ads Show Hoga Aur Usi Ads par Click Karenge Tho Apka Income Hota Rahega.

Note:: kabhi Bhi App Khud Apne Ads par Click na Kare .

Tho Dostou Agar Apne Abhitak Apna Youtube Account Ko Adsense Ke Saath nahi Jhudha Tho Jald He Jhudh lijiye. Aur AGar Apko Is bare Me Samajne Me Kahi Koi Mushkil nazar Aye tho App Muje Comment Ke jariye Pucha Sakte Ho.

Agar mera ye Post Apko Passand Aya Ho Tho Plz Apne Dostou Thak Share Jaroor Kijiye


Comments

Popular posts from this blog

Youtube Par Channel kaise Banaye / Youtube Channel Kaise Create Kare

Youtube Par Apne Blog Ya Website Ke Link Kaise Add Kare